Bistar pe leta hua Remote se k channel badal rha tha. Dhyan nahi tha mera TV dekhne mein par dhyan lagana chahta tha. Bas kuch aur sochna chahta tha, par samne pade Shruti k shaddi ka card bar bar mera dhyan apni aur kich rha tha.
Shruti… Shruti Sen. Kafi saal ho chuke the humme alag hue. Shayad who bhi uss waqt mujhse utna hi pyar krti thi jitna mai karta tha usse. Par abb nahi Shayad. Uski shaddi ho rahi thi.
Maine TV band kar k woh card utha liya. Agar uss din itna kuch na hua hota to aaj mera naam hota iss card par. Card ko seene se lga aankhen band kar li maine. Aur kho gya purani yaado mein.
“Samjha karo, Mai abb tumse pyar nahi karti. Tumhare liye jo feelings thi mere andar sab kam ho gayi.” Shruti Chilla rahi thi..
“Mazak ha kya jo hamare bich ha, main to aaj bhi waisa hi feel karta hoon. “ Maine bhi chilla k shruti ko jawab diya.
“Tum mere jaise nahi ho. Hum bahut alag ha, par woh, who bilkul mere jaisa ha.”
“Acha tumhare jaisa ha, thik ha Main jaa rha hu. Aaj se sab khatam” Maine Jawab diya aur Darwaza patak k bahar aa gya.
Meri aankh khul gayi. Uss din k baad se Shruti ka chehra kabhi nahi dekha maine. Kabhi Kabhi social networking websites pe baatein zarur hui thi. Aur Aaj usne Shaddi ka card bhej diya, kuch bechain sa ho gaya tha.
Kuch socha aur uth k khada ho gaya, cupboard se kapade nikale aur tayyar hone laga. Bahut bhag liya, Kabhi yeh soch hi nahi paya k sab khatam ho gaya tha Shruti aur mere bich. Par aaj usse shaddi karta hua dekh main maan lu.
Pahuchte hue mujhe kuch der ho gayi thi. Shruti aur ladka Mandap pe baithe hua the. Bahut himmat kar k main dusri line pe baitha. Usse nazare bhi nahi milana chahta tha aur usse dekhe bina reh bhi nahi paa rha tha.
Aaj phir Shruti utni hi sundar lag rahi thi jitni who pehle din lag rahi thi. Aaj woh kuch zada hi kush thi, Zahir si baat ha uske zindagi ka sabse bada din tha. Kabhi Ghunghat sambhalti, Kabhi mehnadi lagi hattho mein bajti uski chudiyan aur kabhi apne saheliyon ko sare karti Meri Shruti. Bas baith k yahi dekh rha tha main. Kuch hi samay bacha tha jab mai Shruti ko Meri Shruti bol sakta tha.
Phere shuru ho gaye the, Khud ko rok nahi paya. Meri aankhen gili ho gayi. Phir bhi khud ko smabhalne k kosish k. Rumal se aankh poch kar jab Shruti k taraf dekha to, who bhi meri aur dekh rahi thi. Do second k liye to mere saanse ruk gayi.
Thumps ka isara karta hua muskara diya maine. Aur nahi dekh sakta tha main. Aur nahi rok sakta tha khud ko main. Uth k jaane laga. Haatho se apni aakhen pochi aur chal pada.
“Tushar….” Shruti chillayi.
Maine palat k dekha, Shruti Phero k bich mein ruk k mujhe awaz de rahi thi. Sare log bas mujhe aur Shruti ko dekh rahe the. Shruti ne mujhe dekha phir sabko. Kuch kehte kehte ruk gayi who. Kuch der khamosi si thi.
“Khana kha k jana” Shruti ne kuch der baad bola.
Bas itni si kahani thi meri